Labels

Total Pageviews

Friday, December 17, 2010

Ghazal...Raqs me raat...

Raqs me raat hai badan ki tarah/ baarishon ki hawaa me, ban ki tarah~
Chaand bhi meri karwaton ka gawaah/mere bistar ki har shikan ki tarah~
Chaak hai daaman e qubaa e bahaar/mere khwaabon ke pairahan ki
tarah~ Zindgi,tujh se dur rah kar,main/kaat lungi jilaa watan ki
tarah~ Mujh ko tasleem mere chaand ke main/tere hamraah hun gahen ki
tarah~ Barhaa tera intzaar kiya/apne khwaabon me ek dulhan ki tarah.

No comments:

Post a Comment