Labels

Total Pageviews

Tuesday, January 4, 2011

Ghazal...chehra mera tha

Chehra mera tha,nigaahein uski
khamushi me bhi wo baatein uski

mere chehre pe ghazal likhti gai'n
sher kahti hui aa'nkhen uski

dhyaan me uske ye aalam tha kabhi
aankh mahtaab ki,yaadein uski

rang joinda wo,aaye to sahi!
Phool to phool hain,shaakhein uski

faisla mauj e hawa ne likkha
aandhiyan meri,bahaarein uski

neend is soch se tooti aksar
kis tarah kat'ti hain raatein uski

door rah kar bhi sadaa rehti hain
mujhko thaame hue baahein uski!!

2 comments: